Arey, 70 ke oopar waalon ke liye Ayushman Bharat mein hospital ka bill bharta hai lekin daily ki dawaiyaan ya choti bimariyan nahi. Enrol karna hai to online form bharna padta hai, par hum jaison ka naam SECC list mein nahi hai to koi card nahi aata. Mere tau ke saath yahi hua — unki aankh ka operation toh hua, par chashma aur dawai humne hi khareedi. Sarkari baatein ghar tak pahunchti kahan hain, hum aam log toh apni jeb se hi bharte hain.
#relationships#family
Jump in to reply — no account needed.